WWW.SMSFUNMASTI.COM
VISITS US THERE THANKS...

Tuesday 27 December 2011

Wo Saya Daar Shajar Jo Mujh Say Door

Wo Saya Daar Shajar,
Jo Mujh Say Door 

Bohat Door Hay Mager Us Ki
Lateef Chao'on
Sajjal, Naram Chao'on Ki Tarah
Meray Wajood' 
Meri Shakhsiyat Per Chaii Hay

Wo Maa Ki Bahoon Ki Manind Meharbaa Shakhein
Jo Har Azaab Main Mujh Ko Samait Laiti Hain
Wo Ak Mushfiq Dareena Ki Dua Ki Tarah
Shareer Jhonkon Say Naram Patton Ki Naram Sar-Ghoshi
Kalaam Karnay Ka Lehja Mujhay Sekhati Hay

Wo Doston Ki Haseen Muskurahaton Ki Tarah 
Shafaq Azaar, Dhanak Pairhan Shagofay Jo
Mujhay Zameen Say Mohabbat Ka Dars Detay Hain !

Udasiyon Ki Kese Jan-gadaaz Saa'at Main
Main Us Kay Shaakh Pay Sar Rakh Kay Jab Bhi Roii Hoon
Tu Meri Palkon Nay Mehsoos Kar Liya Foran
Bohat Hi Naram See Ak Pankhari Ka Sherree Lams !
( nami thi aankh main lakin main muskuraii hoon! )

Kari Hay Dhoop
Tu Phir Barg Barg Hay Shabnam
Tapay Hoon Lehjay 
Tu Phir Phool Phool Hay Resham 
Haray Hon Zakham
Tu Sab Konpalon Ka Ras Marham !

Wo Ak Khushboo 
Jo Meray Wajood Kay Andar
Sadaqaton Ki Tarah Zeena Zeena Utri Hay
Kiran Kiran Meri Socho Main Jagmagati Hay
( muhay qabool, keh wajdaan nahi yeh chaand mera
yeh roshni mujhay adraak day rahi hai mager ! )

Wo Ak Jhonka
Jo Us Shaher -e- Gul Say Aaya Tha
Ab Us Kay Saath Bohat Dorr Ja Chuki Hoon Main 
Main Ak Nanni See Bachi Hoon Or Khamoshi Say 
Bas Us Ki Ungliyaa Thamay Or Aankhay Band Kiye
Jaha Jaha Liye Jata Hay, Ja Rahi Hoon Main !

Wo Saya Dar Shajar
Jo Din Main Meray Liye Maa Ka Naram Aanchal Hay
Wo Raat Main Meray Aangan Pay Theharnay Wala
Shafeeq, Naram Zabaa Meharbaa Baadal Hay

Meray Dareechoon Main Jab Chaandni Nahi Aati
Jo Be-Charag Koii Shab Utarnay Lagti Hay
To Meri Aankhay Kiran Kay Shajar Ko Sochti Hain
Dabeez Parday, Nigahon Say Hatnay Lagtay Hain
Hazar Chaand, Sar -e- Shaakh Gul Ubhartay Hain !


0 comments:

Post a Comment

IP