aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya
jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya
kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya
manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya
aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee
apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
yeh kon shehar ka naqsha badal GaYa





0 comments:
Post a Comment